charagh ki oT men hai mehrab par sitara
ruka hua hai abhi gul-e-ḳhvab par sitara
ye kis ravani men Dubti ja rahi hain ankhen
chamak raha hai ye kyuun ruḳh-e-ab par sitara
ruki hui hai zamin paani ke mintaqe par
Thahar gaya hai nigah-e-betab par sitara
kahin miri dhuup ki hukumat hai aa.ine par
jhuka hua hai kahin zar-e-ab par sitara
muhit men ghumte rahenge agar safine
siyah paḌne lagega girdab par sitara
suna tha is raat ke muqabil bhi a.ina hai
magar dikha.i diya hai mahtab par sitara
main huun kisi raat ki siyahi ka rizq lekin
talash karta huun ru-e-ahbab par sitara
Leave a Reply