jafa men naam nikalo na asman ki tarah
khulengi laakh zabanen miri zaban ki tarah
fareb-e-asar ko koi de miri fughan ki tarah
tarashti hai ye fiqre tiri zaban ki tarah
ye kis ki saya-e-divar ne mujhe piisa
ye kaun tuut pada mujh pe asman ki tarah
zarur dhaenge aafat kuchh un ke navak-e-naz
chadhe hain gosha-e-abru kadi kaman ki tarah
rah-e-hayat kati is tarah ki uth uth kar
main baith baith gaya gard-e-karvan ki tarah
ba-rang-e-tair-e-bu main huun ghuncha-o-gul hain
mire qafas ki tarah mere ashiyan ki tarah
na tere dar se hate teri thokaren kha kar
vahin jame rahe ham sang-e-astan ki tarah
hamen hai ghar se taalluq ab is qadar baaqi
kabhi jo aae to do din ko mehman ki tarah
gaya chaman ko to jhuk kar bahut milin shakhen
liya gulon ne mujhe mere ashiyan ki tarah
bala hai ye koi thoda na jaane paikan ko
lahu piyega hamara gham-e-nihan ki tarah
zara si jaan ko lakhon tarah ke khatke hain
chaman na laae kahin rang asman ki tarah
main aauun aap ke ghar kya mujhe darate hain
adu ke naqsh-e-qadam chashm-e-qadam chashm-e-pasban ki tarah
sharik-e-dard to kya bais-e-aziyyat hain
vo log jin se taalluq tha jism o jaan ki tarah
tumhen bhi degi maza kuchh miri musibat-e-ishq
kahin kahin se suno us ko dastan ki tarah
rahe kabhi na ilahi mira qafas khali
ki mujh ko chain mila us men ashiyan ki tarah
mujhe shabab ne maara bala-e-jan ho kar
bahar aai mire baagh men khizan ki tarah
qafas men luut liye kaun se maze main ne
dikhae aankh ne sayyad baghban ki tarah
kisi ko chain na qatil ki shokhiyon se mila
mare hue bhi tadapte hain nim-jan ki tarah
tiri uthan taraqqi kare qayamat ki
tira shabab badhe umr-e-javedan ki tarah
jau apne ghar koi aa le to kaun de taklif
sitare kaun vo baithe hain mehman ki tarah
‘riyaz’ maut hai is shart se hamen manzur
zamin satae na marne par asman ki tarah
Leave a Reply