charagh-e-mah siin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka
ki chauthe charkh par khurshid hai aks-e-jamal us ka
sanam ki zulf ke halqe men hai jyuun jiim ka nuqta
ajab hai khush-numa us ariz-e-gulgun pe khaal us ka
ayaan hota hai jyun-kar sarv paani ke kinare par
hua yuun jalva-gar ankhon men qadd-e-naunihal us ka
juda jab siin hua vo dilbar-e-jadu-nazar mujh siin
juda hota nahin yak aan khatir siin khayal us ka
mujhe hai aarzu dil men tiri chah-e-zanakhdan ki
nahin darkar hauz-e-kausar o ab-e-zulal us ka
giraftar-e-havas kya lazzat-e-didar kuun paave
juda jo kui hua hai aap siin paaya visal us ka
‘siraj’ ai shola-ru hai kaun sa so main nahin vaqif
mujhe kya puchhta hai puchh parvane siin haal us ka
Leave a Reply