aaj ka din bhi guzar ja.ega
qafila lauT ke ghar ja.ega
raah kaTti hi nahin hai apni
saath kab tak ye safar ja.ega
zaḳhm taaza hai to dil dukhta hai
vaqt ke saath ye bhar ja.ega
aazma gardish-e-dauran tu bhi
a.ina aur sanvar ja.ega
bhagte dauḌte lamhon ka safar
kab achanak hi Thahar ja.ega
sub.h khilta hua har phuul ‘shamim’
shaam aa.i to bikhar ja.ega
Leave a Reply