chandni-rat men sandal sa bikharta saaya
ek aaseb ki surat nazar aaya saaya
sar pe suraj hai magar hashr ka maidan nahin
jaane kyuun raah men qadmon se hai uljha saaya
fard ki zaat men nadida nazare ki tarah
saa.e ke saath Tahalta nazar aaya saaya
ye bhi varaftagi-e-shauq men hota hai guman
abhi aaya hai mire paas mahakta saaya
ye vahi log hain jo din men the mere jaise
shaam ke vaqt nazar aate hain saaya saaya
munjamid raushni phuTi thi kisi chadar se
main ne kal abr se chhanta hua dekha saaya
kal tak is saya-e-divar men dam milta tha
zindagi lagti hai ab ek khanDar ka saaya
Leave a Reply