vo sanam jab suun basa dida-e-hairan men aa
atish-e-ishq padi aql ke saman men aa
naaz deta nahin gar rukhsat-e-gul-gasht-e-chaman
ai chaman-zar-e-haya dil ke gulistan men aa
aish hai aish ki us mah ka khayal-e-raushan
shama raushan kiya mujh dil ke shabistan men aa
yaad aata hai mujhe vo do gul-e-bagh-e-vafa
ashk karte hain makan gosha-e-daman men aa
mauj-e-betabi-e-dil ashk men hui jalva-numa
jab basi zulf-e-sanam tab-e-pareshan men aa
nala-o-ah ki tafsil na puchho mujh suun
daftar-e-dard basa ishq ke divan men aa
panja-e-ishq ne betab kiya jab suun mujhe
chak-e-dil tab suun basa chak-e-gareban men aa
dekh ai ahl-e-nazar sabza-e-khat men lab-e-lal
rang-e-yaqut chhupa hai khat-e-raihan men aa
husn tha parda-e-tajrid men sab suun azad
talib-e-ishq hua surat-e-insan men aa
shaikh yahan baat tiri pesh na jaave hargiz
aql kuun chhod ke mat majlis-e-rindan men aa
dard-mandan ko ba-juz dard nahin said murad
ai shah-e-malk-e-junun gham ke bayaban men aa
hakim-e-vaqt hai tujh ghar men raqib-e-bad-khu
dev mukhtar hua mulk-e-sulaiman men aa
chashma-e-ab-e-baqa jag men kiya hai hasil
yusuf-e-husn tire chah-e-zanakhdan men aa
jag ke khuban ka namak ho ke namak-parvarda
chhup raha aa ke tire lab ke namak-dan men aa
bas ki mujh haal suun ham-sar hai pareshani men
dard kahti hai mira zulf tire kaan men aa
gham suun tere hai tarahhum ka mahal hal-e-‘vali’
zulm ko chhod sajan sheva-e-ehsan men aa
Leave a Reply