chaman men rahne de kaun ashiyan nahin maalum
nihal kis ko kare baghban nahin maalum
mire sanam ka kisi ko makan nahin maalum
khuda ka naam suna hai nishan nahin maalum
akhir ho gae ghaflat men din javani ke
bahar-e-umr hui kab khizan nahin maalum
ye ishtiyaq-e-shahadat men mahv tha dam-e-qatl
lage hain zakhm badan par kahan nahin maalum
suna jo zikr-e-ilahi to us sanam ne kaha
ayaan ko jante hain ham nihan nahin maalum
kiya hai kis ne tariq-e-suluk se agah
murid kis ka hai pir-e-mughan nahin maalum
miri tarah to nahin us ko ishq ka azar
ye zard rahti hai kyuun zaafaran nahin maalum
jahan o kar-e-jahan se huun be-khabar main mast
zamin kidhar hai kahan asman nahin maalum
supurd kis ke mire baad ho amanat-e-ishq
uthae kaun ye bar-e-giran nahin maalum
khamosh aisa hua huun main kam-dimaghi se
dahan men hai ki nahin hai zaban nahin maalum
miri tumhari mohabbat hai shohra-e-afaq
kise haqiqat-e-mah-o-katan nahin maalum
kis aine men nahin jalva-gar tiri timsal
tujhe samajhte hain ham in-o-an nahin maalum
mila tha khizr ko kis tarah chashma-e-haivan
hamen to yaar ka apne dahan nahin maalum
khuli hai khana-e-sayyad men hamari aankh
qafas ko jante hain ashiyan nahin maalum
tariq-e-ishq men divana-var phirta huun
khabar gadhe ki nahin hai kuaan nahin maalum
jo ho to shauq hi ho ku-e-yar ka haadi
kisi ko varna sabil-e-jinan nahin maalum
dahan men aap ke albatta ham ko hujjat hai
kamar ka bhed jo puchhun miyan nahin maalum
nasim-e-subh ne kaisa ye us ko bhadkaya
hanuz atish-e-gul ka dhuan nahin maalum
sunenge vaqia us ka zaban-e-sausan se
shahid kis ka hai ye arghavan nahin maalum
kanar-e-ab chale daur-e-jam ya lab-e-kisht
shikar hove bat-e-mai kahan nahin maalum
rasai jis ki nahin ai sanam dar-e-dil tak
yaqin hai us ko tira astan nahin maalum
ajab nahin hai jo ahl-e-sukhan hon gosha-nashin
kisi dahan men zaban ka makan nahin maalum
chhutenge ziist ke phande se kis din ai ‘atish’
janaza hoga kab apna ravan nahin maalum
Leave a Reply