chaman main rang-e-bahar utra to main ne dekha
nazar se dil ka ghubar utra to main ne dekha
main nim-shab asman ki vusat ko dekhta tha
zamin pe vo husn-zar utra to main ne dekha
gali ke bahar tamam manzar badal gae the
jo saya-e-ku-e-yar utra to main ne dekha
khumar-e-mai men vo chehra kuchh aur lag raha tha
dam-e-sahar jab khumar utra to main ne dekha
ik aur dariya ka samna tha ‘munir’ mujh ko
main ek dariya ke paar utra to main ne dekha
Leave a Reply