chaman chaman hi nahin hai jo lala-zar nahin
ham us ko dil nahin kahte jo dagh-dar nahin
main chal raha huun zamane ke saath saath magar
faza zamane ki phir bhi to sazgar nahin
raqib jhuuT kahega to sach samajh loge
kahenge sach bhi agar ham to e’tibar nahin
main un ke husn ko ilzam dene vaala kaun
jab apne dil pe mujhe ḳhud hi iḳhtiyar nahin
ab aur dekhiye tauhin-e-ishq kya hogi
vo kah rahe hain hamen tera e’tibar nahin
tumhare hijr men din kis qadar guzare hain
koi hisab nahin hai koi shumar nahin
tire karam ke bharose pe mutma.in huun main
ye janta huun ki mujh sa gunahgar nahin
kisi ke ruḳh pe nazar jam ke rah ga.i shayad
miri nigah men rangini-e-bahar nahin
ḳhumar-e-nasha-e-hasti hai vo bala ‘shankar’
bahak raha hai har ik koi hoshiyar nahin
Leave a Reply