Chamak Jugnu Ki Barq-E-Be-Aman Malum Hoti Hai

chamak jugnū kī barq-e-be-amāñ ma.alūm hotī hai

qafas meñ rah ke qadr-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai

kahānī merī rūdād-e-jahāñ ma.alūm hotī hai

jo suntā hai usī kī dāstāñ ma.alūm hotī hai

sahar tak sa.ī-e-nāla rā.egāñ ma.alūm hotī hai

ye duniyā to ba-qadr-e-yak-fuġhāñ ma.alūm hotī hai

kisī ke dil meñ gunjā.ish nahīñ vo bār-e-hastī hoñ

lahad ko bhī mirī miTTī girāñ ma.alūm hotī hai

ḳhizāñ ke vaqt bhī ḳhāmosh rahtī hai fazā saarī

chaman kī pattī pattī rāz-dāñ ma.alūm hotī hai

havā-e-shauq kī quvvat vahāñ le aa.ī hai mujh ko

jahāñ manzil bhī gard-e-kārvāñ ma.alūm hotī hai

taraqqī par hai roz-afzūñ ḳhalish dard-e-mohabbat kī

jahāñ mahsūs hotī thī vahāñ ma.alūm hotī hai

qafas kī tīliyoñ meñ jaane kyā tarkīb rakkhī hai

ki har bijlī qarīb-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai

na kyuuñ ‘sīmāb’ mujh ko qadr ho vīrāni-e-dil kī

ye buniyād-e-nashāt-e-do-jahāñ ma.alūm hotī hai

Leave a Comment