chalo itni to asani rahegi
milenge aur pareshani rahegi
isi se raunaq-e-dariya-e-dil hai
yahi ik lahar tufani rahegi
kabhi ye shauq na-manus hoga
kabhi vo shakl anjani rahegi
nikal jaegi surat aaine se
hamare ghar men hairani rahegi
subuk-sar ho ke jiina hai koi din
abhi kuchh din giran-jani rahegi
sunoge lafz men bhi phadphadahat
lahu men bhi par-afshani rahegi
hamari garm-guftari ke ba-vasf
hava itni hi barfani rahegi
abhi dil ki siyahi zor par hai
abhi chehre pe tabani rahegi
‘zafar’ main shahr men aa to gaya huun
miri khaslat bayabani rahegi