chalega jaam kisi ka na us ke jaam ke ba.ad
piyega kaun ‘munavar’ se tishna-kam ke ba.ad
jo raaz tha miri avargi pe ifsha tha
tilism ban ga.i duniya mire qayam ke ba.ad
kiya hai ḳhun-e-tamanna ne surḳh-ru kya kya
tamam kaam hua arz-e-na-tamam ke ba.ad
jo be-talab mujhe baḳhsha tha mangne pe bhi de
karim buḳhl ye kaisa hai lutf-e-am ke ba.ad
hazar haif ‘munavar’ ki tira-baḳhti par
fuzul sa hai taḳhallus ye us ke naam ke ba.ad
Leave a Reply