avargi ne dil ki ajab kaam kar diya
ḳhvabon ko bojh nindon ko ilzam kar diya
kuchh aansu apne pyaar ki pahchan ban ga.e
kuchh ansuon ne pyaar ko bad-nam kar diya
jis ko bacha.e rakhne men ajdad bik ga.e
ham ne usi haveli ko nilam kar diya
dil ko bacha ke rakkha tha duniya se aaj tak
le aaj ham ne ye bhi tire naam kar diya
tum ne nazar jhuka ke jahan baat kaaT di
ham ne vahin fasane ka anjam kar diya
Leave a Reply