chahiyen mujh ko nahin zarrin qafas ki putliyan
ashiyan janun jo hoven khar-o-khas ki putliyan
ho gaiin be-rang jab agle baras ki putliyan
khuun ro kar ham ne kiin rangin qafas ki putliyan
hai ye fauladi qafas mujh na-tavan ka kya karun
kis tarah todun nahin hain mere bas ki putliyan
kya khuda ki shaan hai aati hai jab fasl-e-bahar
sab hari ho jaati hain mere qafas ki putliyan
jab kabhi kunj-e-qafas men ki hai main ne ah-e-garm
mom ho kar bah gai hain pesh-o-pas ki putliyan
ghar qafas ko main samajhta huun asiri ko murad
janta huun apni aahon ko havas ki putliyan
patriyan mere qafas ki shakh-e-gul se kam nahin
loch ye dekha na dekhin aisi ras ki putliyan
gunjne lagta hai ye bhi jab fughan karta huun main
nasb hain mere qafas men kya jaras ki putliyan
dekhiye shauq-e-asiri men jakadne ke liye
ho gaiin resham ka lachha sab qafas ki putliyan
ro rahi hai dekh kar laila jo us ko ai ‘sharaf’
pasliyan majnun ki hain mere qafas ki putliyan
Leave a Reply