chahat ko zindagi ki zarurat samajh liya
ab gham ko ham ne teri inayat samajh liya
khate rahe hain ziist men kya kya mughalate
qamat ko is hasin ki qayamat samajh liya
kirdar kya raha hai kabhi ye bhi sochte
sajde kiye to un ko ibadat samajh liya
resham se narm lahje ke pichhe mafad tha
is tajiri ko ham ne sharafat samajh liya
ab hai koi husain na lashkar husain ka
sar kaT ga.e to ham ne shahadat samajh liya
is tarah umr chain se kaaTi ‘shakil’ ne
dukh us se jo mila use rahat samajh liya
Leave a Reply