Chah Thi Mehr Thi Mohabbat Thi

chaah thī mehr thī mohabbat thī

us kī har baat hī qayāmat thī

vasl thā qurb thā qarābat thī

dil ko phir bhī ajiib vahshat thī

ab to ham soch kar bhī hañste haiñ

avval-e-ishq kaisī hālat thī

maiñ bahut ḳhush rahā huuñ us ke baġhair

us ko is baat par bhī hairat thī

bas use chūmte hī chhoḌ diyā

pattharoñ se mujhe to vahshat thī

maiñ to kuchh in dinoñ pareshāñ thā

us ko kab bhūlne kī aadat thī

maiñ hī us vaqt tujh se bachhḌā thā

jab tirī chāhatoñ meñ shiddat thī

Leave a Comment