Chaaron Taraf Hain Khaar-O-KHas Dasht Mein Ghar Hai Bagh Sa

chāroñ taraf haiñ ḳhār-o-ḳhas dasht meñ ghar hai baaġh sā

choTī pe kohsār kī jaltā hai kyā charāġh sā

āb-e-ravāñ kī guuñj se shorish-e-ḳhāk-o-bād tak

maiñ hī huuñ naqsh-e-jāvedāñ maiñ hī adam-surāġh sā

sub.h bhī resha resha hai shaam bhī hai rafū-talab

sīna-e-mahtāb bhī varna hai dil-e-dāġh sā

bahs huī na tabsira shor uThā na chup lagī

dil kī bisāt thī hī kyā TuuT gayā ayāġh sā

sher kaho to chup rahe kuchh na kaho to chauñk uThe

shahr meñ ek ‘zubair’ hai shā.ir-e-kam-dimāġh sā

Leave a Comment