but yahan milte nahin hain ya khuda milta nahin
azm mustahkam to ho duniya men kya milta nahin
ham-safiran-e-junun yuun ham se aage badh gae
qafila kya hai ghubar-e-qafila milta nahin
apni surat dekhna ho apne dil men dekhiye
dil sa duniya men koi bhi aaina milta nahin
de diya hai aap ko dil ab hifazat kijiye
har khazane men ye laal-e-be-baha milta nahin
dhundhta phirta hai mujh ko kyuun fareb-e-rang-o-bu
main vahan huun khud jahan apna pata milta nahin
Leave a Reply