• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / But Kya Hain Bashar Kya Hai Ye Sab Silsila Kya Hai

But Kya Hain Bashar Kya Hai Ye Sab Silsila Kya Hai

but kya hain bashar kya hai ye sab silsila kya hai

phir main huun mira dil he miri ghar-e-hira hai

jo ankhon ke aage hai yaqin hai ki guman hai

jo ankhon se ojhal hai ḳhala hai ki ḳhuda hai

taare miri qismat hain ki jalte hue patthar

duniya miri jannat hai ki shaitan ki saza hai

dil dushman-e-jan hai to ḳhirad qatil-e-iman

ye kaisi balaon ko mujhe saunp diya hai

sunte rahen aram se har jhuuT to ḳhush hain

aur Tok den bhule se to kahte hain bura hai

shaitan bhi rahta hai mire dil men ḳhuda bhi

ab aap kahin dil ki sada kis ki sada hai

‘aḳhtar’ na karo un se gila jaur-o-jafa ka

apni bhi ḳhuda jaane havas hai ki vafa hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mahw Kar Di Zehn Se Gham Ne Teri Taswir Bhi

Phul Se Masum Bachchon Ki Zaban Ho Jaenge

Ye Nazm-E-Gurezan Hai Barham-Zadani Pahle

Ho Agar Dida-E-Tar Husn-E-Nazar Khulta Hai

Rang Aur Nur Ki Tamsil Se Hoga Ki Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet