but-e-kafir jo tu mujh se khafa ho
nahin kuchh khauf mera bhi khuda hai
ye dar-parda sitaron ki sada hai
gali-kucha men gar kahiye baja hai
raqibon men vo honge surkh-ru aaj
hamare qatl ka beda liya hai
yahi hai taar us mutrib ka har roz
naya ik raag la kar chhedta hai
shunida kai bavad manind-e-did
tujhe dekha hai huron ko suna hai
pahunchta huun jo main har roz ja kar
to kahte hain ghazab tu bhi ‘rasa’ hai
Leave a Reply