but-e-be-dard ka gham monis-e-hijran nikla
dard jaana tha jise ham ne vo darman nikla
aankh jab band hui tab khulin ankhen apni
bazm-e-yaran jise samjhe the vo zindan nikla
hasrat-o-yas ka amboh fughan ki kasrat
main tiri bazm se kya ba-sar-o-saman nikla
khuun ho kar to ye dil aankh se barson tapka
na koi par dil-e-nakam ka arman nikla
aaina paikar-e-tasvir nigah-e-mushtaq
jise dekha tiri mahfil men vo hairan nikla
mujh ko hairat hai hua kya dam-e-rukhsat hamdam
jaan nikli mire pahlu se ki janan nikla
khuub dozakh ki musibat se bache ham ‘hasrat’
is ka darogha vahi yaar ka darban nikla
Leave a Reply