but apne-ap ko kya jaane kya samajhte hain
mira khuda unhen samjhe khuda samajhte hain
ada-shanas ki apne ada samajhte hain
ki be-kahe vo mira muddaa samajhte hain
samajhne vaale tumhari ada samajhte hain
vo aur kuchh hai jise sab qaza samajhte hain
falak ka naam na le koi samne un ke
vo us ke zikr ko apna gila samajhte hain
mujhe ye aap ke sar ki qasam na tha maalum
ki aap bhi rah-o-rasm-e-vafa samajhte hain
ye shokhiyan bhi hasinon ki kya qayamat hain
shab-e-visal ko roz-e-jaza samajhte hain
ye din shabab ke hain koi kya kahe un ko
abhi vo kuchh nahin achchha bura samajhte hain
tumhare khoe huon ka ajiib maslak hai
jo rahzan bhi mile rahnuma samajhte hain
shab-e-visal mire ham-nashin se farmaya
yahi to hain jo hamen bevafa samajhte hain
khuda kare kahin mauqe se mujh ko mil jaaen
yahi hasin jo mujhe parsa samajhte hain
hamen ye haq hai tira munh bhi chumte jaaen
ki tere shikva-e-beja baja samajhte hain
na mana kar mai-o-mashuq se hamen vaaiz
ki ham shabab men sab kuchh rava samajhte hain
khuda ki shaan ye kothon ke baithne vaale
hamari aah ko ab na-rasa samajhte hain
‘riyaz’ ishq men kafir buton ke hai be-khud
maza ye hai vo use parsa samajhte hain
Leave a Reply