burida gesuon men aankh ka rasta nahin tha
vo chehra ḳhubsurat tha magar dekha nahin tha
main jab sahil pe utra ḳhalq meri muntazir thi
ka.i din ho ga.e the badshah milta nahin tha
bulate the hamen injir aur zaitun ke phal
magar vaadi men jaane ka koi rasta nahin tha
tana yaqut ka shaḳhen zamurrad ki bani thiin
samar la.al-o-gohar the naḳhl ka saaya nahin tha
paron men aa.ine minqar men taj-e-shahi tha
parinda qaaf se aaya magar uḌta nahin tha
Leave a Reply