bura.i kya hai tum ilzam do bura.i ka
bashar huun main mujhe da.ava nahin ḳhuda.i ka
kiya hai sajda kabhi ya nahin kiya ḳhush huun
jabin pe daagh nahin sajda-e-riya.i ka
kisi ke ishq men divane ham na gar hote
to raaz khul nahin sakta tha parsa.i ka
zara tum ab kahin chhup jaao har taḌap lau hain
ki yaad aaya hai mujh ko maza juda.i ka
nahin hai meri kisi aur ki hai ye bhi hadis
qusur-var agar huun main ḳhud-sata.i ka
jise yaqin hai ki us ke nasib men tum ho
gunah kyuun vo kare qismat-azma.i ka
ravan-davan huun mujhe apni dhun men hosh kahan
bahana le ke jo baiThun shikasta-pa.i ka
usi ki raah men kanTe bichha.e jaate hain
nasib uzr jise hai barahna-pa.i ka
kise hai ilm nasibon men mire aap nahin
ḳhayal chhoḌ duun kyuun qismat-azma.i ka
jo ishq aam hai mere liye hai nang-e-hayat
madar aur hai meri ghazal-sara.i ka
baḌa maza tha taḌapne men tilmilane men
na bhulta hai na bhulega din juda.i ka
chaman ho aur shab-e-mahtab-o-halqa-e-ahbab
maza jabhi hai ‘jigar’ kuchh ghazal-sara.i ka
Leave a Reply