bulbul ko khaar khar-e-dabistan hai in dinon
har tifl ki baghal men gulistan hai in dinon
zunnar-e-ishq but men rag-e-jan hai in dinon
naqus-e-barhaman dil-e-nalan hai in dinon
abad mera khana-e-viran hai in dinon
sailab mujh gharib ka mehman hai in dinon
daman hai apne haath men ik rashk-e-mah ka
pesh-e-nazar hilal-e-gareban hai in dinon
bagh-e-jahan men jo hai giraftar hai tira
azad ek sarv-e-gulistan hai in dinon
kahte hain ham zamin men majnun ki ab ghazal
har bait apni khana-e-zindan hai in dinon
kafir ho ai sanam jo kharide na tu use
mehndi ke mol khun-e-musalman hai in dinon
hangama husn-o-ishq ka hai garm aj-kal bahut
divana-e-pari hai jo insan hai in dinon
masti ka un labon ke fasana kahan nahin
majlis nahin vo jo nahin hairan hai in dinon
sadqe chakor hote hain rukhsar-e-yar ke
vo mah-e-char-dah mah-e-taban hai in dinon
aata hai sair-e-bagh ko vo gauhar-e-murad
phailae gul ke paas jo daman hai in dinon
qad sarv chehra gul hai to sumbul hain mu-e-yar
ghar khana baagh hai jo vo mehman hai in dinon
jauhar-shanas jama hain ‘atish’ hai maarka
shamshir hai vahi ki jo uryan hai in dinon
Leave a Reply