• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Silsile Sab Ruk Gae dil Hath Se Jata Raha

Silsile Sab Ruk Gae dil Hath Se Jata Raha

aazim-kohli

silsile sab ruk gae dil haath se jaata raha

hijr ki dahliz par ik dard lahrata raha

qalb ka daman junun men bhi na chhoda aql ne

dhadkanon ki chaap sun kar mujh ko khauf aata raha

masala us ki ana ka tha ki shohrat ki talab

us ka har ehsan mujh par nekiyan dhata raha

main raha be-khvab khvabon ke tilismi jaal men

vo miri ninden chura kar loriyan gaata raha

sabr ki takrar thi josh o junun-e-ishq se

zindagi bhar dil mujhe main dil ko samjhata raha

roz aa kar meri khidki men mire bachpan ka chand

rakh ke sar ik niim ki tahni pe so jaata raha

hijr ke badal chhate jab dhuup chamki ishq ki

vasl ke angan men bhanvra gul pe mandlata raha

zindagi bebak ho kar tujh se aage badh gai

aur ‘azim’ tu lakiron par hi itrata raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya Bataen Zist Mein Kya Kya Hua

fauziya-rabab

Kis Ko Apna Haal Sunaen Aap Bataen

Hae Ab Kaun Lagi Dil Ki Bujhane Aae

meer-taqi-meer

Be-Rawi Wa Zulf-E-Yar Hai Rone Se Kaam Yan

poet

lauT Aaega Dekhna Mere Dost

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet