bulana aur na jaana chahta huun
marasim bhi nibhana chahta huun
tiri qurbat se kuchh lamhe chura kar
main apne paas aana chahta huun
kahan ye tai nahin kar paaya lekin
kahin main bhaag jaana chahta huun
kisi din gardish-e-ayyam ko bhi
main ungli par nachana chahta huun
zarurat to nahin tu hai zaruri
tujhe apna banana chahta huun
bahut sahra-navardi ho chuki ab
Thikane ka Thikana chahta huun
asar karti nahin hai narm-goi
main ab na.are lagana chahta huun
Leave a Reply