biit gaya hangam-e-qayamat roz-e-qayamat aaj bhi hai
tark-e-taalluq kaam na aaya un se mohabbat aaj bhi hai
sakht sahi hasti ke marahil-e-ishq men rahat aaj bhi hai
ai gham-e-janan ho na gurezan teri zarurat aaj bhi hai
gulshan-e-husn-e-yar men karte hain jo talash-e-kaif-o-sukun
laakh hai barham nazm-e-do-alam zulf men nikhat aaj bhi hai
nur-e-sahar hai jan-e-tasavvur zulmat-e-shab se kaun dare
laakh bani hai ziist jahannam samne jannat aaj bhi hai
subh-e-bahar aai thi le kar rut bhi nai shakhen bhi nai
ghuncha-o-gul se pyaar hai lekin shakh se nafrat aaj bhi hai
arz-e-tamanna kar ke ganvaya ham ne bharam khuddari ka
ho gai go takmil-e-tamanna dil ko nadamat aaj bhi hai
kar ke sitam ki parda-poshi ham ne unhen be-aib kiya
varna ‘shakil’ apne honton par harf-e-shikayat aaj bhi hai
Leave a Reply