bismil kisi ko rakhna rasm-e-vafa nahin hai
aur munh chhupa ke chalna shart-e-vafa nahin hai
zulfon ko shana kiije ya bhaun bana ke chaliye
gar paas dil na rakhiye to ye ada nahin hai
ik roz vo sitamgar mujh se hua mukhatib
main ne kaha ki pyare ab ye rava nahin hai
marte hain ham tadapte phirte ho tum har ik ja
jaana ki tum ko ham se kuchh muddaa nahin hai
tab sun ke shokh dilkash jhunjhla ke kahne laaga
kya vaza meri ‘asif’ tu janta nahin hai
Leave a Reply