bin piye ik ḳhumar tha kya tha
tera chehra bahar tha kya tha
vo rah-e-ishq men junun apna
dil jo tujh par nisar tha kya tha
vo mira vahm ya haqiqat thi
teri nazron men pyaar tha kya tha
bazm men teri mehrban the bahut
mera un men shumar tha kya tha
vaqt-e-ruḳhsat kisi ki ankhon men
chhaya kaisa ghubar tha kya tha
vo bhi roya tha dard-e-furqat men
lag raha ashk-bar tha kya tha
tere dil men sada khaTakta raha
bad-gumani ka ḳhaar tha kya tha
kar ke phir mere e’tibar ka ḳhuun
jo gaya hai vo yaar tha kya tha
ham the uljhan men aap bhi chup the
kaun sar par savar tha kya tha
main to mar kar bhi muntazir hi rahi
vo tira intizar tha kya tha
Leave a Reply