Bin Mausam Ke Pani Barse Sawan Sawan Dhup

bin mausam ke paanī barse sāvan sāvan dhuup

ham muTThī bhar dhuup ko tarseñ āñgan āñgan dhuup

ruup jalālī rañg jamālī ye kaisā sanjog

chhat par chāñdnī-e-shab utrī hai chilman chilman dhuup

god meñ bhar luuñ dil meñ chhupā luuñ yahī hai man kī chaah

jaaḌe ke ThiThure hue din meñ sājan sājan dhuup

kuTiyā hī par kyuuñ hotā hai sūraj kā prakop

rañg-mahal meñ sāvan barse jīvan jīvan dhuup

purvā.ī meñ naar osaa.e khet meñ apne anaaj

paa.el meñ hai raat kī ThanDak kañgan kañgan dhuup

thake hue ghar lauT rahe haiñ saath liye āhār

chehra chehra dhuul pasīna dāman dāman dhuup

nayāy kā da.avā karne vaale ye kaisā annyā.e

shahr meñ paanī gaañv meñ paanī chhā.ī hai ban ban dhuup

dhulī dhulā.ī āñkhoñ meñ hai sūraj jaisī jot

jhiil ke kajle paanī meñ hai kanchan kanchan dhuup

maiñ vo bad-qismat huuñ jis ko milī na ThanDī chhāñv

bharī javānī taptī rāteñ bachpan bachpan dhuup

piyā milan kī bhor huī hai ‘ramz’ salonī bhor

ghuñghaT meñ kajrārī āñkheñ darpan darpan dhuup

Leave a Comment