• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bijli kaDki Baadal Garja Main KHamosh Raha

Bijli kaDki Baadal Garja Main KHamosh Raha

bijli kaḌki badal garja main ḳhamosh raha

is kohram men bhi ai duniya main ḳhamosh raha

sub.h ki chaap ne mujh ko sada di main ne baat na ki

shaam ki chup ne mujh ko pukara main ḳhamosh raha

kitne giit bikherte mausam mere samne aa.e

main tha jaati rut ka saaya main ḳhamosh raha

guzre mere paas se ho kar shor bhare mele

sail-e-havadis tu ne dekha main ḳhamosh raha

kitne paani sar se guzre meri zaban na khuli

sahil sahil dariya dariya main ḳhamosh raha

‘ja.afar’ dekh ke gham barsati zindagiyon ke samay

biit ga.i is dil par kya kya main ḳhamosh raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nasir-kazmi

Apni dhun Mein Rahta Hun

poet

Khub-Ruyan-E-Jahan Chand Ki Tanwiren Hain

poet

Ahbab Bhi Hain KHub Ki Tashhir Kar Gae

poet

Yaad Rakhna Ek Din Teri Zaban Tak Aaunga

Phir to Is Be-Nam Safar Mein Kuchh Bhi Na Apne Pas Raha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet