bichhḌen to shahar bhar men kisi ko pata na ho
tum ko bhi kuchh malal hamen bhi gila na ho
majlis ki ḳhvab-gah jahan bhi nazar mili
un ko yahi tha ḳhauf koi dekhta na ho
jin hadson ki aag se daman-e-dil jala
mumkin nahin charagh-e-suḳhan bhi jala na ho
meri ghazal men jaisa tarannum hai soz hai
akasr hua guman ki usi ki sada na ho
un se alag hua to yahi fikr hai ‘na.im’
un ka tapak-o-mehr kahin vaqi.a na ho
Leave a Reply