bhari ankhon se gar us ko takun amin kah dena
bara.e bebasi gar chup rahun amin kah dena
ḳhuda har faisla tera mujhe manzur hai lekin
agar mahv-e-dua vo naam luun amin kah dena
sambhalne ki koi surat mohabbat men nahin hoti
lihaza laḌkhaḌa kar jab girun amin kah dena
usi ik naam par saari ḳhuda.i aa ke Thahri hai
jab us ke saath naam apna likhun amin kah dena
zamana iltija hai haath jab us ke uThe dekho
rahun main tab talak ya na rahun amin kah dena
masarrat muntazir rahti ho us ke ḳhair-maqdam ko
zara sa ḳhvab hai bas jyuun ke tyuun amin kah dena
vazifa jab paḌhun main us ke haq men ai ḳhuda tu bhi
na rakhna shart koi jab kahun amin kah dena
Leave a Reply