main gharq vahan pyaas ke paikar ki tarah tha
har qatra jahan ek samundar ki tarah tha
ghar saare shikasta the guzar-gahen andheri
kuchh shahr mira mere muqaddar ki tarah tha
aaj us ka jahan men koi pursan hi nahin hai
kal tak jo zamane men sikandar ki tarah tha
tha is ke muqaddar men likha Dubna Duuba
halanki vo dariya men shanavar ki tarah tha
kya meri haqiqat thi gulistan men na puchho
main tha magar ik ta.ir-e-be-par ki tarah tha
jab shahr men patthar hi ki thi umr ganva.i
duniya men tujhe jiina bhi aazar ki tarah tha
dil ke bhi zamane men badalte rahe andaz
dariya ki tarah tha kabhi patthar ki tarah tha
duniya-e-adab men sabhi kahte hain jise ‘mir’
ik lafz-o-ma.ani ke samundar ki tarah tha
raas aa.i ‘guhar’ ḳhuub mujhe dasht-navardi
har abla-e-pa mira gauhar ki tarah tha
Leave a Reply