ghairat-e-ishq ka ye ek sahara na gaya
laakh majbur hue un ko pukara na gaya
kya lahu roe to aaya hai baharon ka salam
sirf khvabon se haqaeq ko sanvara na gaya
maarka ishq ka sar de ke bhi sar ho na saka
kaun raahi tha jo is raah men maara na gaya
vo bhi vaqt aata hai saaqi bhi badal jaate hain
mai-kade par kabhi maston ka ijara na gaya
shauq ki baat kab alfaz men dhal sakti thi
us pari ko kabhi shishe men utara na gaya
kabhi takra diye shishe kabhi chhalka diye jaam
raegan ek bhi saaqi ka ishara na gaya
aaine jitne bhi dekhe vo mukaddar the ‘surur’
jauhar-e-sidq-o-safa phir bhi hamara na gaya
Leave a Reply