
Zia Faruqi
jaane kaise main sada be-bal-o-par uḌta raha
doston ke shahar men misl-e-ḳhabar uḌta raha
umr ki ye tez-gami aur phir tera ḳhayal
ek saaya sa pas-e-gard-e-safar uḌta raha
kaise kaise imtihan tu ne liye ai zindagi
phir bhi main bazu-shikasta umr-bhar uḌta raha
jaane kya samjha ke us ko le ga.i pagal hava
der tak patta shajar se TuuT kar uḌta raha
paanv vahshat ne pakaḌ rakhe the sahra dekh kar
aur tasavvur janib-e-divar-o-dar uḌta raha
ik parinda amn ka paala tha ham ne pyaar se
laakh kaaTe bal-o-par tum ne magar uḌta raha
muntazir is baar bhi ankhen rahen apni ‘ziya’
koi chehra badalon ke dosh par uḌta raha

Leave a Reply