• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / bhaDkaen Meri Pyas Ko Aksar Teri Aankhen

bhaDkaen Meri Pyas Ko Aksar Teri Aankhen

bhaḌka.en miri pyaas ko aksar tiri ankhen

sahra mira chehra hai samundar tiri ankhen

phir kaun bhala dad-e-tabassum unhen dega

ro.engi bahut mujh se bichhaḌ kar tiri ankhen

ḳhali jo hui sham-e-ghariban ki hatheli

kya kya na luTati rahin gauhar teri ankhen

bojhal nazar aati hain ba-zahir mujhe lekin

khulti hain bahut dil men utar kar tiri ankhen

ab tak miri yadon se miTa.e nahin miTta

bhigi hui ik shaam ka manzar tiri ankhen

mumkin ho to ik taaza ghazal aur bhi kah luun

phir oḌh na len ḳhvab ki chadar tiri ankhen

main sang-sifat ek hi raste men khaḌa huun

shayad mujhe dekhengi palaT kar tiri ankhen

yuun dekhte rahna use achchha nahin ‘mohsin’

vo kanch ka paikar hai to patthar tiri ankhen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein

Sulagte Dasht Ka Manzar Hui Hain

Dil Ki Rudad Dil-Lagi Na Sahi

firaq-gorakhpuri

Aai Hai Kuchh Na Puchh Qayamat Kahan Kahan

TuT Kar Bikhre Na Suraj Bhi Hai Mujhko Dar Bahut

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet