bevafa tujh se kuchh gila hi nahin
tu to goya ki ashna hi nahin
ya ḳhuda paas ya butan ke paas
dil kabhu apne haan raha hi nahin
dil se jo chahiye so bandhiye baat
main ne vallah kuchh kaha hi nahin
tere kucha se aah jaane ko
dil nahin ya ki apne pa hi nahin
yaan taghaful men apna kaam hua
tere nazdik ye jafa hi nahin
naame bulbul ne go hazar kiye
ek bhi gul ne par suna hi nahin
kuchh na hota ‘asar’ asar us ko
bhale ko naala tu kiya hi nahin
Leave a Reply