• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Takhliq Pe Fitrat Ki Guzarta Hai Guman Aur

Takhliq Pe Fitrat Ki Guzarta Hai Guman Aur

ali-sardar-jafri

takhliq pe fitrat ki guzarta hai guman aur

is adam-e-khaki ne banaya hai jahan aur

ye subh hai suraj ki siyahi se andheri

aaegi abhi ek sahar mahr-chakan aur

badhni hai abhi aur bhi mazlum ki taqat

ghatni hai abhi zulm ki kuchh tab-o-tavan aur

tar hogi zamin aur abhi khun-e-bashar se

roega abhi dida-e-khunaba-fiashan aur

badhne do zara aur abhi kuchh dast-e-talab ko

badh jaegi do chaar shikan-e-zulf-e-butan aur

karna hai abhi khun-e-jigar sarf-e-baharan

kuchh der uthana hai abhi naz-e-khizan aur

ham hain vo bala-kash ki masaib se jahan ke

ho jaate hain shaista-e-gham-ha-e-jahan aur

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aab Ki Tasir Mein Hun Pyas Ki Shiddat Mein Hun

Kuchh Roz Se Pareshan Wo Zulf-E-Mushkbu Hai

Jo Hans Hans Ke Har Gham Gawara Kare Hai

Dil Ko Ab Hijr Ke Lamhat Mein Dar Lagta Hai

Lagi Hai bhiD baDa Mai-Kade Ka Nam Bhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet