be-zabanon ko bhi goya.i sikhana chahiye
kalima angusht-e-shahadat ko paḌhana chahiye
ḳhaal ruḳhsar-e-munavvar ka dikhana chahiye
chand men ai mehr-vash dhabba lagana chahiye
tel meri aankh ke til ka lagana chahiye
gesuon men panja-e-mizhgan ka shana chahiye
bahr-e-zinat daman-e-shamshir men o jang-ju
meri gardan ka tujhe paTTha lagana chahiye
aj-kal mahv-e-safa-e-ariz-e-dil-dar huun
mere rahne ko ab a.ine ka ḳhana chahiye
ghaaT par talvar ke nahla.iyo mayyat miri
kushta-e-abru huun main kya ghusl-ḳhana chahiye
ai pari hai kis qadar aḌiyal mira shab-dez-e-fikr
choTi ke mazmun ka us ko taziyana chahiye
ta.ir-e-rang-e-hina ka murgh-e-jan hota jalis
ab nagine ke shajar par ashiyana chahiye
ḳhat men likkhi hai haqiqat dasht-gardi ki agar
nama-bar jangali kabutar ko banana chahiye
josh-e-vahshat kah raha hai nik.hat-e-gul ki tarah
aaj to divar-e-gulshan phand jaana chahiye
vasf-e-dandan men dur-e-mazmun ki hai ham ko talash
bahr-e-fikrat men dila ghota lagana chahiye
chin-e-gesu se dikha do ḳhal-e-ariz ki bahar
mere murgh-e-ruh ko ye daam daana chahiye
is tamanna par hua huun ḳhaak main o jang-ju
meri miTTi ke tujhe menDhe laḌana chahiye
ariz-e-taban ke qul par bahr-e-daf-e-chashm-e-bad
ḳhal-e-ruḳhsar-e-pari ka kaala daana chahiye
panja-e-gulgun ke o gul ham hue hain andalib
panj-shaḳhe par hamara ashiyana chahiye
chal nahin sakta hamara tausan-e-umr-e-ravan
baaḌh ke Dori ka qatil taziyana chahiye
ba.ad muddat zinat-e-pahlu hua hai vo pari
aaj to ai dil tujhe baghlen bajana chahiye
huun main ai jarrah zaḳhmi tegh-e-naz-e-yar ka
Tanke bhi gardan ke Dori se lagana chahiye
atlas-e-gardun se atlas hai fuzun ai mah-ru
kahkashan ka tere shimle men batana chahiye
nashsha hain ik bahr-e-ḳhubi ke hamari qabr par
chadar-e-ab-e-ravan ka shamiyana chahiye
mid.hat-e-saqi-e-kausar tujh ko likhni hai ‘qalaq’
pahle ab-e-hauz-e-kausar se nahana chahiye
Leave a Reply