
Suhaib Farooqui
aa.ina ho ke aa.ina na hua
us ka va.ada kabhi vafa na hua
ik sitam bhi karam-numa na hua
zaḳhm kha kar bhi kuchh bhala na hua
us ko apna banana chaha tha
ham se iz.har-e-mudda.a na hua
baat karte to baat ban jaati
baat karne ka hausla na hua
us ne zulfon se Dhak liya chehra
chand se koi rabta na hua
har nazar men hai vasl ki chahat
ishq men koi parsa na hua
TuuTe rishton ko joḌte kaise
jab kabhi us se samna na hua
baat ham ḳhud-kushi ki kyon karte
haq bhi jiine ka jab ada na hua
ham ko tanha.iyon ke ma.abad men
kuchh bhi kahne ka hausla na hua
laakh da.ave kiye ḳhuda.i ke
ek fir.aun bhi ḳhuda na hua
dil to mansub tha usi se ‘suhaib’
umr bhar jis se rabta na hua

Leave a Reply