be-vajh naiin hai aaina har baar dekhna
koi dam ko phulta hai ye gulzar dekhna
nargis ki tarah khaak meri ugen hain chashm
tuk aan ke ye hasrat-e-didar dekhna
khinche to tegh hai haram-e-dil ke said par
ai ishq par bhala tu mujhe maar dekhna
hai naqs-e-jan diid tira par yahi hai dhun
ji jaao yaar ho mujhe yak-bar dekhna
ai tifl-e-ashk hai falak-e-haftamin pa arsh
aage qadam na rakhiyo tu zinhar dekhna
puchhe khuda sabab jo mire ishtiyaq ka
meri zaban se ho yahi izhar dekhna
har naqsh-e-pa pe tadpe hai yaaro har ek dil
tuk vaste khuda ke ye raftar dekhna
karta to hai tu aan ke ‘sauda’ se ikhtilat
koi lahr aa gai to mire yaar dekhna
tujh bin ajab maash hai ‘sauda’ ka in dinon
tu bhi tuk us ko ja ke sitamgar dekhna
ne harf o ne hikayat o ne sher o ne sukhan
ne sair-e-bagh o ne gul-o-gulzar dekhna
khamosh apne kalba-e-ahzan men roz o shab
tanha pade hue dar-o-divar dekhna
ya ja ke us gali men jahan tha tira guzar
le subh ta-ba-sham kai baar dekhna
taskin-e-dil na is men bhi paai to bahr-e-shaghl
padhna ye sher gar kabhu ashar dekhna
kahte the ham na dekh saken roz-e-hijr ko
par jo khuda dikhae so na-char dekhna
Leave a Reply