• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tumhein Kya Kaam Nalon Se Tumhein Kya Kaam Aahon Se

Tumhein Kya Kaam Nalon Se Tumhein Kya Kaam Aahon Se

tumhen kya kaam nalon se tumhen kya kaam aahon se

chhupaya ho gunah-e-ishq to puchho gavahon se

main kajkol-e-dil-e-be-mudda.a le kar kahan ja.un

ye paigham-e-talab kyuun unchi unchi bargahon se

zaban ho ek ulfat ki to mumkin hai zaban-bandi

hui jo baat chupke ki vo kah Daali nigahon se

mohabbat andar andar ziist ka naqsha palaTti hai

yahi chalti hui sansen badal ja.engi aahon se

sanad be-ai.tmadi ki hai qabl-e-imtihan goya

bayan-e-hal kai pahle halaf lena gavahon se

mohabbat nek-o-bad ko sochne de ghair mumkin hai

baḌhi jab be-ḳhudi phir kaun Darta hai gunahon se

hue jab aap se bahar phir ehsas-e-dui kaisa

pata manzil ka milta hai inhin gum-karda rahon se

bata sakti nahin roidgi-e-sabza-o-gul bhi

faqiron se paTe the ye gaḌhe ya badshahon se

chhalakte zarf ka khulta bharam khota hai baat apni

sukun paata hai dil ka dard nalon se na aahon se

ye pahle soch len a.ankhon men lahrate hue aansu

ki vo phir uTh bhi sakte hain jo gir jaa.en nigahon se

mila baiTha hai sab men kuchh magar munh se nahin kahta

alag samho tum apne ‘arzu’ ko dad-ḳhvahon se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Arsa-E-KHwab Se uTh Halqa-E-Tabir Mein Aa

Wo Agar Bewafa Nahin Hota

Kahan Siyasat-E-Aghyar Ne Halak Kiya

Wo Jo shaKHs Apne Hi taD Mein so Chhupa Hai Dil Hi Ki aaD Mein

poet

Masala Ye Bhi Ba-Faiz-E-Ishq Aasan Ho Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet