be-vaj.h nahin un ka be-khud ko bulana hai
aina-e-hairat se mahfil ko sajana hai
yaar gham-e-hasti ka hai tazkira la-hasil
majbur ka jiina hi ik baar uthana hai
mujh se jo sar-e-mahfil tum aankh churate ho
kya raz-e-mohabbat ko afsana banana hai
halat ke taghayyur par ho matam-e-mazi kyuun
ik vo bhi zamana tha ik ye bhi zamana hai
hai gosha-e-tanhai manzur mujhe ‘bekhud’
is bazm men jaana to ji aur jalana hai
Leave a Reply