be-taalluq saare rishte kaun kis ka ashna
saath saae ki tarah sab aur sab na-ashna
karb jaari hai bajae khuun ragon men sahibo
kaun hai ham sa jahan men gham se itna ashna
haan hamari nibh to sakti thi magar kaise nibhe
apni khuddari men ham aur vo vafa na-ashna
ek ik ka munh taken beganagi ke shahr men
ab kahen kya kis se ham ab kaun apna ashna
niiv baithi ja rahi hai saari divaren gaiin
ghar ka baasi ghar ki halat se nahin kya ashna
jo na karna tha karaya aur nadim bhi nahin
ai dil-e-nadan kisi ka ho na tujh sa ashna
ajnabi ik dusre se baat kya karte nahin
ik zara se saath men kya ashna na-ashna
khum ba khum chhalke tiri sahba nasha qaaim rahe
lazzat-e-zahrab gham se kab hua tha ashna
para-e-simab bhi ‘bilqis’ thahra hai kahin
vo talavvun-kesh kis ka dost kis ka ashna
Leave a Reply