be-lutf hai ye soch ki sauda nahin raha
ankhen nahin rahin ki tamasha nahin raha
duniya ko raas aa ga.iin atish-parastiyan
pahle dimagh-e-lala-o-gul tha nahin raha
fursat kahan ki soch ke kuchh gunguna.iye
koi kahin halak-e-tamanna nahin raha
unchi imaraton ne to vahshat ḳharid li
kuchh bach ga.i to gosha-e-sahra nahin raha
dil mil gaya to vo utar aaya zamin par
aahaT mili qadam ki to rasta nahin raha
girdab chiḳhta hai ki dariya udaas hai
dariya ye kah raha hai kinara nahin raha
miTTi se aag aag se gul gul se aftab
tera ḳhayal shahpar-e-tanha nahin raha
batil ye e’tiraz ki tujh se lipaT gaya
mujh ko nashe men hosh kisi ka nahin raha
ik baar yuun hi dekh liya tha ḳhiram-e-naz
phir lab pe naam sarv o saman ka nahin raha
Leave a Reply