is na.e ghar men bhi har chiiz purani kyon hai
gar ye surat hai to phir naql-e-makani kyon hai
koi ḳhubi bhi nahin naqs bhi lakhon mujh men
tu mire ishq men is darja divani kyon hai
hijr ki baat karo mujh se kabhi ḳhalvat men
phir ye socho ki miri aankh men paani kyon hai
lucknow shahr mira shahd sa lahja samjhun
aap ke shahr men ye talḳh-zabani kyon hai
jang hai jahl se ‘afrang’ qalam hi kaafi
kya zarurat hai ki shamshir uThani kyon hai
Leave a Reply