ab men kis se kahun
ki kahne ke liye kuchh bhi nahin
na harf-o-lafz na avaz na samaat
koi rishta naata hai nahin
ik ik kar ke rishte naate mitti se bichhad ke
aur paani men dubte chale jaate hain
vahan jaane ka vaqt aa gaya hai
saath le jaane vaala parinda sar par mandla raha hai
isi liye darakhton ki putliyan bilkul khamosh hain
maalum hua ki koi kisi ka tha hi nahin
ya dil to shayad mahz nirasha ka dher tha
is dher par paani ki ek buund bhi girne ko tayar nahin thi
safar karne vaala barahna paanv to dhuul men pada rah gaya
main ne shayad use is liye nahin uthaya ki
use kisi aur jism men lagaya nahin ja sakta tha
Leave a Reply