bazm-e-ijad men be-parda koi saaz nahin
hai ye teri hi sada ghair ki avaz nahin
kah sake kaun vo kya hai magar az-ru-e-yaqin
gul nahin shama nahin sarv-e-sar-afraz nahin
dil ho be-laus to kya vajh-e-tasalli ho darogh
tair-e-murda magar toama-e-shahbaz nahin
bulbulon ka tha jahan sehn-e-chaman men amboh
aaj chidiya bhi vahan zamzama-pardaz nahin
bhaag virana-e-duniya se ki is manzil men
nuzl-e-mehman ba-juz maida-e-az nahin
dilbari jazb-e-mohabbat ka karishma hai faqat
kuchh karamat nahin jaadu nahin eajaz nahin
dil ki taskhir hai shirin-sukhani par mauquf
kuchh karamat nahin jaadu nahin eajaz nahin
dast-e-qudrat ne mujhe aap banaya hai to phir
kaun sa kaam hai mera ki khuda-saz nahin
Leave a Reply